Saturday, 4 June 2016

Do Lafzo Ki Hai Dil Ki Kahani



Zindagi me kitne log aate jate gaye
Unme se kuch log khaas hote gaye
Jab ese khaas log hi door ho gaye
To zindagi me bas gam reh gaye
Aur hum yaha jite jite mar gaye




Kahin kho na jaye hum,hame thaam kar rakhna
Kahin gir na jaye hum,hame sambhalkar chalana
Kuch bhul na jaye hum,hame yaad karate rehna
Kahin door na ho jaye hum,hame dil me basakar rakhna



Dil ki becheniya koi nai samajhta
Dard ke aasu koi nai dekhta
Hum auro ko kya samjhaye
Jab koi hamara hi hame nahi samajhta
Rishte kese badal jate he pata nahi chalta
Koi kab khaas ho jata he pata nahi chalta
Kuch yu bhi hota he rishto me
K paraye hame apna bana lete he aur
Apne hame paraya kar dete he aur pata nai chalta 



Koi apna humse ruth jaye to hum kya kare
Unhe manane par bhi vo na mane to hum kya kare
Pyaar to hame bhi he unse
Agar vo na mane to hum kya kare 



Iss raat ki tanhai me paas aa jao
Dil se dil milakar gale lag jao
Pyaar do itna ki sab bhul jaye
Chahat ko apni meri chahat se mila jao


Lafzo me kabhi baya nahi kar payi
Khayalo se kabhi bhula nahi payi
Bas apka sath chahiye har pal
Aur kuch dua me nahi maang payi

romajoshi.blogspot.com

No comments:

Post a Comment